yeh misra bohut hi mashoor hai. jo log niaki karte hain woh baat mein
iska zikar bilkul bhi nahi karte bal k woh log naiki karte hue yahi
sochte hain k Allah un se khush hoga aur Allah ko khush karne k liye woh
kisi ka bhala kar dete hain. lekin baaz log jab kisi ki madat karte
hain to madat karne k baad ishtehar bant'te hain k ji humne fla fla k
sath neki ki. un logon k andar takabbur ki aag bharak rahi hoti hai. woh
jaan buj kar apni naiki logon par thopte hain sun'ne wale use bura
samajhte hain, aur samjhe bhi q na?
baaz log jin k sath naiki ki
jati hai woh apki madat ko bhul jate hain. woh baad mein istrah pretend
karte hain k apne un k sath naiki nahi balke unka koi kaam kiya ho ya
shayed aap un k koi naukar the. aur jese ji hi humein un k amal se is
cheez ki badd boo ane lagti hai hum log yeh sochte k kash humein pehle
pata hote, humne to sirf khuda razi karne k liye esa kiya tha. aur yeh
jumla naiki kar, darya mein daal humari samajh se bilkul bahir ho
jata hai. aur kitne log humari di hui madat se, humari un k sath ki hui
naiki ko sar ankhon par bithate hain. ya to hum magroor ho jate hain ya
phir Allah ka shukar ada karte hain k chalo Allah ne humein is qabil
samjha aur bnaya.
aaj mere dil mein ek swal utha hai
kya humein kisi ko dekh kar us'se naiki karne chahiye ya chahe woh acha ho bura ho bas uski madat kardeni chahiye?
kitni
ajeeb baat hai... humesha kuch istrah ki batein hi apko mere likhe hue
mazmuno mein milti hongi. zindagi ka tajurba hi kuch esa raha hai. aur
sirf mein nahi aap mein kuch parhne walon k sath bhi esa kuch hua hoga.
isliye is nacheez ki madat farmaye aur naiki kamaye ^_^
regards
love conquers all