Freitag, 25. Dezember 2015

Ashk - Poetry Collection

 http://www.fancycrime.com/wp-content/uploads/2015/10/Tear_drop_by_JosCos.jpg
ansoon bhi ab meri ankh k khushk hogaye
tune mere khaluus ki keemat bhi cheen li

http://images2.fanpop.com/image/photos/14300000/tears-broken-hearts-14300931-240-320.gif
kitna ajeeb hai unka andaze mohobbat?
roz rulake kehte hain.. apna khayal rakhna

tear images photos
mat bahao ansoon beqadron k liye
jo qadar karte hain woh rone nahi dete

https://withanopenheartdotorg.files.wordpress.com/2012/07/0tears.jpg
neend mein bhi girte hain meri ankh se ansoon
jab tum khwabo mein bhi mera hath chordete ho

 http://www.iwallpaper.co/wallpaper/fs/abstract_and_3d/eye_tears-320x480-5M5V.jpg
 inkar sa kardiya ansoon ne ankhon mein ane se abbas
ke kyoun girate ho humein ek gire hue shakhs k liye?



https://www.theuntappedsource.com/image.php?id=16066
ansoon girane se koi apna nahi banta
jo dil se pyar karte woh rone nahi dete

 wafa ke is shehr mein hum jesa sodagar nahi milega
hum to anssoo bhi khareed lete hain pani muskurahat de kar


http://orig13.deviantart.net/e2d7/f/2009/358/b/f/tear_drops_by_mewharuki.jpg
hota hai apni ankh ka ansoon bhi bewafa
woh bhi nikalta hai kisi aur k liye

 http://img13.deviantart.net/7c60/i/2012/030/3/8/diamond_teardrops_by_summerlovin24-d4o3z4d.jpg
 saleekha ho agar bhighi hui ankhon ko parne ka
to phir behte ansoo bhi aksar baat kiya karte hain

 http://www.pmkelly.com/wp/wp-content/uploads/2014/09/Teardrops-980x980.jpg
 pani darya mein ho ya ankhon mein
gehrai aur raaz dono mein hote hain


 https://images.rapgenius.com/4hja921imks7fqsejg867wg39.600x721x1.jpg

kisi ke ek ansoon se hazaron dil tarapte hain
kisi ka umar bhar ka rona yuhni bekaar jana hai 



 tum bhi kar ke dekhlo mohobbat kisi se
jaan loge hum kyoun chup chup k rote the


 kamal ka zabt rakhte hain woh log
jo apno ankhon mein ansoon dekh kar muskurate dete hain


  neend mein bhi girte hain meri ankh ke ansoon
jab tum khwabon mein mera hath chor dete ho




abhi se teri ankhon se nikal aye ansoon
abhi to meine cheri nahi dastan e zindagi



shikwe ankhon se girpare warna
lafz honton se kab kahe humne


kash ansoon k sath uski yaad bhi beh jati
to baith kar hum ek din fursat se ro lete



pucha tha haal usne bari muddato ke baad
kcuh pargaya hai ankh mein yeh keh kar ro pare



Keine Kommentare:

Kommentar veröffentlichen