Dienstag, 19. Juli 2016

Mera Jeevan Kora Kagaz - Poetry



 qalam se likh nahi sakte udaas dil ke afsaane...!
humare sath jo hota hai... bas acha nahi hota!



dard likhte gaye ah bharte gaye
log parte gaye wah karte gaye


jinhe hum keh nahi sakte, unhe tum sun nahi sakte
wohi baat hai kehne ki, wohi baat hai sun'ne ki 



rehne de yeh kitab tere kaam ki nahi
is mein likhe wafao k tazkare hain



humein likh kar kisi kagaz par mehfooz karlo
lagta hain hum tumhari yaadasht se nikalte ja rahe hain



sukhe ghulab ki trah hum shayed!
gir chuke hain teri kitab se!


deemak zadah kitab thi yaadon ki zindagi
har warq kholne ki khwahish mein path gaya


woh pesh lafz tha jise rukla diya mujhe
sambhal khud ko, abhi dastaan baqi hai 


aya tha mazmoon imtehan mein mazmoon bewafa
wazahat jo teri ki to top kar gaye



bohut par liya zamane ko 
ab khud ko parh kar dekhte hain


waqr jald palat gaye ho tum
qissa mukhtasir nahi the hum



aaj alfaz nahi mil rahe the sahib
dard likh diya hai, mehsoos kijiye ga


par rahe hain hum ishq ki kitaab
agar ban gaye vakeel to bewafao ki khair nahi!!


raaj hai zamane mein isliye andhere ka
roshni k hatho mein ab qalam nahi hota 


koi lafzo ki andhi mein ura na de kahi 
mere jazbe kisi kamsin bache ki trah hain



Keine Kommentare:

Kommentar veröffentlichen