Zindagi kay kuch ajeeb kisam ke pehlu ka jab samn akarn parta hai to kayi din kayi raatein yeh samajne mein lag jati hai ke woh khud k liye ek sabak tha ya woh haq tha.
mujhe kisi baat se koi shikwa nahi na hi kisi insaan se hai kyoun k ajtak jab bhi meine apne andaz se us se apni mohobbat ka izhar kiya hai is k bawajood kahin na jahin mein hi ghalt nazar ati hun. fesle to mein bohut karti hun lekin ek fesle par qaym nahi rehti. mere dil mein swaye khof k kuch bhi nahi nahi. aur yahi khof shayed mere shakhsiyat ko har baar chur chur kar deta hai. lekin emra is par ab ikhtyar hi nahi bal k kabhi tha hi nahi.
zindagi bohut mushkil hai... woh log jhoth bolte hain jo kehte hain k zindagi bohut haseen hai lekin yeh sab ek sufaid jhoot hai. kabhi kabhi Allah har muraad puri kar deta hai bal k kuch zyada de bhi deta hai bas woh kuch pal zindagi kay aise hote hain jo haseen lagte hain.
magar shukar karti hun k meri in khamyon ke bawajood ab mujhe logon ne jan liya hai pehchan liya hai. mohobbat karne wale bhi dar guzar kar jaya karte hain.
meine khud par bohut mehnat ki hai khud ko badalne k liye lekin phir bhi yahi sunti hun k tum aisi hi ho kuch nahi balda tum mein... haan shayed
bas pehli wali mein aru aaj wali mein ek hi fark hua hai k mein thori zimmedar ho chuki hun. shayed... pata nahi ehsas tha ya zindagi ki lagi woh thokar jis par meine cheekh cheekh kar ansoon bahye aur khamosh ho gayi. ab sochti hun k jitne bhi saal bache hain is zindagi kay inhe kese guzara jaye. kya khali mobile fon ghar kay kaam kar k guzar jayegi ya kuch aisa karun k ....
humesha ki trah mein yahi kahungi aaj bhi
mere swalon kay jawab to bohut hain lekin
koi jwab tasalli bakhs nahi
shadi ko is mahine 11 saal ho jayenge. sochti hun k in 11 saloon mein kya kiya?? kuch bhi to nahi. na zindagi ko sanjeegdi se liya na rishton na khud ko. ab jab bhurhapa ahista ahista zindagi mein qadam rakh raha hai aur thakhan bhi bohut ho rahi hai. kis se zindagi se ya khud se?? ya is dunya se??
humesha ki trah apnon ko dhundha hai meine ab to unko bhi chor chuki. Khuda ka saman jab thamne lagti hun to tasalli hoti hai k woh hai bas wohi aur insanon ki taraf dekhti hun to sochti hun kuch bhi nahi....