
usne kaha bhula diya tu shikwa na kar
apno ko bare ikhtiyar hua karte hain

kisi ko batana na ke bhula diya tumko
hum logo se yahi kehte hain tum masroof bohut ho

sari dunya udaas paoge
agar tumne tore silsile mujhse

fasle to barha rahe ho magar itna yaad rakhna
mohobbat bar bar insan par mehrban nahi hoti

meri fitrat mein nahi apna gham bayan karna
agar teri wujuud ka hissa hun to mehsoos kar takleef meri

rakha karo rabta zindagi ka bharosa nahi
phir na kehan dunya chordi aur btaya bhi nahi

zulm itna na kar k log kahe tu dushman hai mera
meine zamana ko tujhe pani jaan bata rakha hai

mujhe is haal mein pochoncha diya teri mohobbat ne
sitam kesa bhi ho tujhse shikwa nahi

aaj koi naya ilzam nahi usne ...
qasid! pata to kar woh thik to hai..?

meri ulfat se tang ajao to mujhe bata dena
mujhe suchi nafrat pasand hai dokhe ka pyar nahi

wabasta hogai thi kuch umeede aap se
umeedo ka chiragh bhujane ka shukriya

mujhe bhi sikhado bhuuljane ka hunar
mujhse uth uth kar rato ko roya nahi jata...

mohobbat kisi se tab hi karna jab mohobbat ko nibhana seekhlo
majburiya ka sahara le kar chor dena wafadar nahi hoti

shauq se badlo magar itna yaad rakhna
hum badle to karvate badalte rehjaoge...

tumhe shayed na aye aitbaar
meine such much bhuladiya hai tumhe!!
lo aaj tor dirya humein rishta e umeed
lo kabhi gila nahi karenge kisi se hum
door rehne wale tere liye ek mashwara hai
kabhi humara khayal aye to apna khayal rakhna
hum isqadar bhi nahi apne anaa k tabe
tum pukaro to sahi laut ke ajayenge
humare dil mein kisi teesre ka dakhal nahi
yahan sirf teri chali hai ya udaasi ki
khud ko mere dil mein hi chorgaye ho
tumhe thik se bicharna hi nahi ata
ab bhi ate to rehjati humari zindagi
bad marne k agar khat ka jwab aya to kya
hume socha tha k btayenge sab dukh dard tumhe
par tumne itna bhi na pucha k khamosh kyou ho?
mere sabar ka na le imtehan meri khamoshi ko saza na de
Keine Kommentare:
Kommentar veröffentlichen