Dienstag, 27. September 2016

Mere Andar Ka Shor

insaan jab khamosh hota hai to bohut si baatein sochta hai. samajhdar log apne maslon ka hal khud hi nikal lete hain. lekin kuch jazabati log bewaqoofi mein akar apne masle ka hal khamoshi se nikalne ki bjaye khud mun se shor karte hain. baaz dafa unka shor dusron par unki bat man'ne par majbuur kar deta hai chahe baat ghalt ho. k chalo iski baat manlo jaan chut jayeg. nafa nuksan to isne sochna hi nahi na. baaz daffa esa shor dusre logon k yeh bat sochne par majbur kardeta k yaar isne jo kaha thik kaha lekin yeh koi tarika nahi hai.log bare aram se keh dete hain k apne andar baat nahi rakhniye chahiye baat karne se dil ka ghubar nikalna chahiye bla bla bla. lekin kabhi kabhi dil ka gubar nikalne ki bjaye insaan aur zyada besakoon hojata hai. woh kese? q k agla banda ya to sirf chaske lagata hai ya baat mukammal hone nahi deta. sath hi apni ray ka izhar karta aur baat karne wale ko yeh feelings di jati hai ur not worth it. bakwas band karo! esa hota hai?

mere andar ka shor... insaan ko bohut si esi soche sochne par majbur kar deta jo sakoon dene ki bjaye insaan andar se aur besakoon hojata hai. dekhne walo ko uski khamoshi dikhayi to deti hai lekin aksar log yeh sochte hain k iska to misaaj hi uncha hai. yeh to hai hi badikhlaq. esi khamosh soch esa shor apki hansi bhi cheen leta hai. phir to acha hi na k andar hi apni baat rakho q k insaan ko pata to chal jata hai k ji agar mun se baat nikali to koi man'ne ko tayar to hoga nahi. to logon ko woh sochne do jo k sochte hai. bohut kam log ese hote hain jo ek nazar mein dekh kar pehchan jate hain k ji samne wale ka dil dukha hai samne wali khamoshi kuch suna rahi hai. kitni ajeeb baat hai. dukhi logon ko log badikhlaq kehte hain, matlab dukhi hote hain na khamosh log. k nahi?

kya woh waqai dukhi hoti hain ya koi fankar hote hain??

wese ek baat aur bhi batati chauni kehte hain k jo log zyada hanste muskurate nazar ate hain woh bhi bas apne gham ko chupane k liye ek nakli chehra pehen lete hain take kisi ko pata na chale.

is baat mein kitna sach hai aur kitna jhoot?

to phir kya karna chahiye?

upar diye gaye chand swalon k jwab ki muntazir hun. umeed karti hun sab tawun karenge ^_^

fesla ap k hath mein

regards
love conquers all


Keine Kommentare:

Kommentar veröffentlichen