Dienstag, 23. Februar 2016

Jawab Hazir Hai ...


kehte raho khud ko bura
bhala to hum khud ka bhi nahi karte 


 hum naam bhi tumhara lenge aur gale bhi tumhe lagayenge
mohobbat karne ki gustakhi sirf humari na thi...




  bewafaon ki basti mein tum jese paglon k charche
hayee!!... hum bhi kya khoob tere pagal pan k shikar hue the



 sochlo dekhlo.. phir na kehna
tumne rulaya nahi aur hum muskuraye kab



jane se pehle kuch to bata diya hota
dil ruk sa gaya hai teri berukhi ke baad 



 kya haseen hadsa hua hai judai ka
jis mein gham to mila lekin meetha



 tu kar apni majburi ki ghulami
hum bhi suchi mohobbat k ghulam hain


 ab to lauta do dil ki sonpi hui dharkane!
teri berukhi ne mohobbat ko suli charha rakha hai


hum to chahte hain k tum har lafz shiddat se parho
kya pata teri bewafai ko kuch sharam hi ajaye...


 dusron par tohmate lagana band karo ae ashiq!!
apne wafa k qisse kisi aur ko sunana...

Keine Kommentare:

Kommentar veröffentlichen