Donnerstag, 18. Februar 2016

Mein Gunahgar Hun...

insaan sochta kuch auch aur hota kuch aur. insaan sochta kuch aur aur karta bhi kuch aur.
humesha ki trah mein apni tehreeh mein kuch ese swal karti hun jin k zariye apko aur khud ko apne andar jhanke ka moka milta hai. yeh swal har insaan ko karne chahiye. yeh swal har momim k dil mein uthne chahiye. lekin har kisi ki bas ki baat nahi. aaj jo baat mein apse karne wali hun aap samjhe k woh meri apki hum sabki zindagi se juri hui ek esi baat hai jise hum neglect karna bhi chahe to kabhi nahi kar sakte. mujhe umeed hai k humesha ki trah aap aaj bhi mera is tehreer mein mera sath denge.

gunnah ki saza Allah tala ne pehle se hi muqrar ki hui hai lekin agar humare dil mein khuda ka taqwa ho to gunah karne k baad hume is baat ka zarur ehsaan ho k nahi humne ghalt kiya hume us k darbar hazir ho kar us c mafi mang leni chahiye. aur usne vadaha kiya hai k woh apne har bande ko maaf kardega.

tajurba yeh kehta hai k agar insaan ghalti par ghalti kare aur ek din use Allah k hone ka ehsaas hojaye to insaan wapis use raste par chal sakta jis raste par chalne ka hukam Allah ne humein diya hai confuse to nahi hogaye?? bas dil mein uska ehsaas hona.

bachpan mein humari ammi abbu humein kehte hain k agar humne yeh kaam kiya woh kam kiya to Allah tala naraz hojayega. Gunnah hota hai esa kam nahi karte lekin jab hum bare hote hain dunya dekhni shuru karte hain to hum yeh sochte hain sab karte hum bhi karle to koi farak nahi parta aur chote se chote gunnah se bhi anjan reh jate hain. kya aap chahenge k aap mein aur dusron mein kuch farak nazar aye k nahi? bare ho kar hum apne maa baap ki laaj q nahi rakhsakte unki kahi hui baat q nahi man sakte kya hum unse bhi bare hojate hain? nahi... hum jitne marzi bare hojaye burhe hojaye hum apne amma abba k liye humesha bache hi rahenge... yeh baat hume humesha yaad rakhni chahiye! isliye woh jo kehte hain jesa kehte hain such kehte hain. ma baap khuda ka dusra roop hote hain to hum jab Allah ko apne dil mein basa bethe hai to use harwaqt yaad rakha humein itne mushkil q lagta hai?

chale aaj mein apko ek kahani sunati hun:

ek larki thi. woh bohut azad khayal ki thi. uski ammi abbu 5 waqt k nmazi the. jab bhi uski ammi use nmaz parhne ko bolti to woh ajeeb kisam k mun bnati use ghussa a jata aur ek din uski ammi use keh keh kar thakh gayi. saal mein ek mahine hajan banjati. roze nmaz quran etc. esa lagta jese usne kabhi koi gunnah hi na kiya ho. ramzan k baad uski batti phir se gul hojati. khair uski ammi ne us k liye ro ro kar bohut duayen ki. ghar mein uska behavoir ajeeb sa ho jata lekin bahir logon se milti to log uski tareefo ki mala japte rehte k itni naik hai. lekin yeh baatein sun k kahi na kahi use ajeeb lagta aur ma bhi use kehte itni naik to tum ho nahi... akhir ma ne haar manli aur apni beti ko nmaz k liye kehna chordiya. ek din usne kahi se suna k kisi larki ne ittekaf baithna ka fesla liya aur 10 din tak woh nahi milegi. pata nahi kese aur kahan us larki k dil mein khayal aya k woh bhi try kare. to finally usne itteqaf baithne ki himmat ki aur us doran usne quran nmaz koi cheez na chori aur jab woh itteqaf se uthi to uski nayi zindagi start hochuki thi. use harwaqt is baat ka dar laga rehta k na jane usne kitne gunnah kiye hain na jane Allah us se razi hoga bhi k nahi. woh har waqt apni ghalti ko madde nazar rakhte hue Allah ko yaad karti rehti. aur aaj... woh sir utha kar is dunya mein jeerahe rahi woh bhi yeh kehte k mera khuda mera khuda hai woh meri sunta hai. shayed Allah ne us k gunah maf kardiye.. aaj uski yeh halat hai k subha k waqt Allah se kuch mangti hai aur sham se pehle pehle use woh cheez miljati hai.... how inspiring? yeh change us k andar uski ma ki duaon ki wjha se aya.

to kya hum apne ma baap baat na man kar unki duaon se mehroom hojayen? to kya hum Allah ki rehmat se mehroom hojaye?

hum esa q nahi kar sakte? sab esa q nahi karsakte? jab us larki ki duayen Allah sunta hai to humari bhi sun sakta hai balke sunta bhi hai. humari bhi ghalti maaf hosakti hai. q nahi?

wese gunahon ki bhi kayi kisme hoti hai.

1. jaan buj k gunah kiya jata hai
2. anjane mein gunnah kiya jata hai
3. jkoi dusra shakhs apne gunnah karvata hai...

gunnah chahe jis category mein ho. gunnah gunnah hota hai.
lekin un logon ka kya injan hoga jo apse gunnah akrvate aur khuda paak saaf ban jate hain? kya unko gunaho ki koi saza nahi milti? kya woh log Allah ki nazar mein parsa hain? Allah ki nazar mein kon parsa hai aur gunahgar yeh to sirf wohi janta hai. lekin ese logo k bare mein istrah k swal apke zehn mein zarur ata hoga.

kya aap apne gunahon ki maafi abhi se mangna chahenge ya Qudrat k fesle ka intezar karenge? kya insaan gunnah karta hai ya us se karvaya jata hai? kya insaan jaan buj kar gunnah karta? kya insaan ko apne gunah ka ehsaas hota hai k nahi? kya use apne ki hue gunahon ka pchatva hota hai kya woh apne gunahon ki maafi mangne ki himmat rakhta hai?

aaj tehreer phir lambi hogayi mazrat chahti hun =) lekin kahani read karna na bhuliyega =)

regards
love conquers all


Keine Kommentare:

Kommentar veröffentlichen