Sonntag, 26. Juni 2016

Ek Aisi Talash...

Insaan jab is dunya mein ata hai... har baar ishi sentence se mein topic shuru karti hun lekin aaj is sentence ko yahi adhura chorti hun, bhala hoga mera aap sab par =p.

jab hum chote hote the to humare ghar wale hume kehte hain k yeh fla fla par gaya/gayi hai dadi dada nana nani ma baap par gaya/gayi hai lekin jab hum bare hote phir bhi yeh alfaz humare sath lage rehte hain. hum sochte hain acha? wakai? kabhi hum bohut lutf andoz hote hain to kabhi hum is cheez se chirh jate hain. hume jab koi famiy min acha nahi lagta to hume yeh bat buri lagti hai k q humein fla fla k sath compare kiya jata hai??
kuch logon ki adat hoti hai bat bat p dost bana lena aur kuch logon ki adat hoti hai k woh bas ginne chune dost apni zindagi mein rakhte hain aur kuch log dunya mein ane k bawajood is khubsoorti se mehroom reh jate hain. kya sochte honge woh log?  kese kat'te honge woh apni tanhai? kis trah ki dosti nibhate honge woh apni tanhai se?
dunya mein kuch ese log bhi hain jo akela reh to jate hain.kabhi akela rehna pasand karte hain to kabhi apni kisamt ko koste hain hum akele q hain? ji haan bilkul hum akele q hai?
kya kabhi kisi ne yeh socha hai k ...
kash mere jesa bhi ho? kya mein hi is dunya mein wahid ek esa peice hun jo tahnah hai? koi to hoga mere jesa koi to hoga mere jesa tanha kahi to hoga mere jesa koi? ...

yeh swal tanha logon k zehn mein aksar ate hain lekin inka jwab koi nahi de pata. ese logon ki talash tab tak rehti hain jab tak unki saans chalti hai. kisamt ho to talash jald khatam ho jati hai badkisamt ho to yeh talash marte dum tak nahi khatam hoti.. marne k baad hum sab k sath kya hoga, yeh to WOHI janta hai. aaj meine yeh baat bohut mukhtasir ki hai lekin agar gaur kiya jaye yeh baat itni mukhtasir bhi nahi hai q k yeh humari khushya ka swal hais akoon ka swall hai jiska jwab...

kya aap k paas in swalo ka jwab hai?
hai.. to djiye =)

fesla ap k hath mein hai

regards
love conquers all


Freitag, 24. Juni 2016

Olad Ki Khushi

Aaj mein ek bohut nazuk topic par bat karna chahti hun. ramzan ka mahina aur duaon ke khazane khuda ne khole hue hain. wese to humesha khule rehte hain lekin yeh mahina hi kuch esa hai k hum khud ko bhula kar sirf khuda k hojate aur us se har woh cheez mangte jo shayed humein baki 11 mahine mangne ki fursat nahi milti...

baat kuch istrah ki hai k jab ek larka aur ek larki ka rishta pakka hota hai to sab log shadiyon ki tayari mein magan rehte hain. pehle to sab log to dono ki achi kisamtein ki duaen dete hain. phir ata hai ek esa zindagi ek esa mor jab log bache k bare mein puchte hain. Abhi valima hazam kiye jumma jumma ath din bhi nahi hua hota log swal karna shuru kardete hain nuskhe dene shuru kardete hain. Agar baat 1-3 mahine tak ho jaye to logon ki soch badal jati hai agar 1 saal hojaye to log ajeeb kisam batein karte hain... larke mein nuksa hogaaa haye bicharii larki, larki mein nuks hoga larka dusri shadi karle... ajeeb kisam ka mind set humare muashre ka. Kuch logon ko fikar hoti hai bhlai k liye nuskhe bhi dete jo kamyab bhi ho jate hain lekin kuch log to itne besharam hote k samne larka larki se thik se salam liya bhi nahi to trah trah k swal aur mansube ban'e shuru hojate hain...

khair yeh upar wala hissa thora sa jazbati ho gaya. Gustakhi maaf. Asal baat to olad ki hai. Yeh woh nemat aur khuda ka tohfa hai jo dunya k har dusre shakhs ko naseeb zarur hoti hai. Dusri isliye keh rahi hun q k har kisi ko olad nahi hoti.
Yeh baat parh k shayed ap k ronte khare hojaye lekin is dunya mein ese bohut se log hai jo bina olad niina sahare k sapurde khak ho jate hain. Baaz dafa to esa hota hai k behn ya bhai ka koi bacha pal liya jata hai god leliya jata hai lekin woh bacha jab bara hota hai to apni sage ma baap ka ho hi jata hai. Agar koi aur bacha god leliya jaye to woh bhi apni sage ma bap ki talash mein zindagi guzar deta hai. Beolad logon ko kya milta hai yeh sab kuch kark k? Ek bache ki khwahish karna us khwahish ka pura hona ek yateem bache ki khidmat karna kya gunnah hai? Kahi kuch ese log bhi hote hain jo bar bar is baa ka ehsas dilate hain k bacha yeh khoon to unka hai hi nahi... kitni takleef de baat hai.

Hum log apne khud ko musalman sabat karne par tule hote hain, RASOOL SAW se behad mohobbat bhi karte hain lekin kya kisi ko yeh yaad hai k unhone ne bhi ek bache ko pala tha, Hazrat Zaid RA kisi ko yaad hai? Un k sage baap unhe dhunte dhunte un tak pohonch gaye the lekin phir bhi unhone ne un k sath jane se inkar kardiya aur unhone apni zari zindagi humare pyar nabi MUHAMMAD saw k sath guzardi... woh khoon to kisi aur ka tha lekin q k humare pyare Aqa NABI E KAREEM SAW ne ek misal jo kayem karni thi
to bohut se beolad log is misaal ko apni zindagi ka hissa banate to hain lekin kuch jahil log dil khrab karne par tule hote hain.

Orat... jisko khuda ne dunya ki sabsi bari takat se nawaza hai, 9 mahine se le kar deleivery tak ma aur bache k beech mein ek rishta qaym hojata hai k us rishte ko bayan karna k liye koi alfaz nahi milte. Lekin jis orat ki olad na ho sake ya jo mard is khushi se mehroom reh jaye unki takleef ko samajhni ki bjaye log ajeeb ajeeb baatein karte hain. Aur baaz dafa esa hota hai k baatein karne wali ki oladen is qadar badikhlaq hoti hai k unko dekh beolad log yahi kehte hain  acha hai humari koi olad nahi.
Lekin dil mein kahi na kahi woh khwahish ek aag ki trah barati jati hai,. Lekin insaan bebas hai aur yeh q k ALLAH ki den hai isliye uski raza mein razi rehna parta hai. Koi majburi nahi hoti bas ALLAH ki is mein bhali hoti hai.

Jo log ulti seedhe baatein karte jin ka ghar ka angan un nemto se bhare hote woh yeh baat najane q nahi samajhte. LEKIN kuch ese log bhi hai jo dil mein humdardi aur labon par us couple k liye dua rakhte hain aur khuda ese logon ki jald sunta hai. Kehte hain k agar khud ki olad na ho to dusre bacho ko jeen jaan se pyar karo kya pata ALLAH ko apki yeh adat pasand a jaye aur ALLAH aap par apna fazal karde.

Meri behno aur bhayyao, jin k ghar bache hai aur jin k ghar nahi hain. Mein yeh baatein kisi ka dil dukhane k liye nahi kar rahi. Bas US KHUDA PAR BHAROSA RAKHE aur mayuus na ho. Aaj meri aap sabse ek guzarish k yeh mazmoon parhne k baad agar aap kisi ese shakhs k liye couple k liye dua kare jise olad ki khwahish ho, apni zindagi k do mint nikal kar us k liye dua kare. Ramzan hai mohobbat aur dua lene dene ka naam hai...

agar koi baat buri ya ghalt kikhi ho to gustakhi maaf. =)
aaj is nacheez ko nahi balke un logon ko duaon mein yaad rakhyiega, jo is khushi k haqdar hai, kya pata apki do mint ki dua unki zindagi badal de
aur ek aur darkhast hai meri (agar apka dil kare to.. ) is mazmoon ko zarur share kijiyega, shayyed kisi ki zinsagi badal jaye aur share karne wale ko dua bhi miljaye =)

fesla ap k hath mein hai =)

sorry, aaj baat phir lambi hogayi =)

ramazan mubarak =)


Mittwoch, 8. Juni 2016

Ramadan Package 2016

RAMADAN MUBARIK =)



*************************************************************************



Iftari/Sehri k Asool

 Jesa k apko maloom hai k ramzan ka babarkat mahine ka aghas hogaya hai. ALLHAMDOLILLAH aur apke ilam mein yeh bhi hoga k garmyon k roze hain. mein ap k liye aaj kuch iftari aur sehri k asool leke ayi hun aur umeed karti hun k ap in asulo se zarur faida uthayenge

1 asool:
itari k waqt roz cold drink pina mede k liye bohut nuksan de hai. cold drinks mein bohut cheini shamil hoti hai. agar aap pina hi chahte hai to hafte mein 2 baar pina thik rahega

2. asool
iftari k waqt bohut zyada pani mede k liye nuksan de hai. is se meda bhari hojata hai aur khane k liye jagha nahi bachti. iftar k doran aur us k baad glas ka pani waqfe k sath piye

3. exercise
iftar k 2 ghante baad exercise karna mein koi dikkat nahi hai. is khaya hua khana hazam hojata aur khoon ka circle bhi thik se kam karta hai. exercise namaz mein bhi hojati hai :-)

4 asool
khana aram se mukammal tor par jaba k khaen. jald bazi na kare. tez aur jaldi khane se motapa ka khatra hosakta hai

5 asool
iftari mein direct metha khane se parhez kare. q k usmein chini hoti hai aur khali mede k liye nuksa de sabit hosakti hai. iftari k 2 ghante baad sweet dish kha sakte hain

6.asool
Khane wali cheez jim mein potassium content shamil ho, woh zyada tar khaye,. un cheezon mein natural water mojud hota hai jo apk din bhar ki pyass ko cover karta hai
- kela
- milk
- khajure
- avocados
- sukhe apricots
- pista
- gaddu
- mattar
- dark choclate

BAD for Sehri:
- gosht wali cheeze
- kabab
- pizza
- fast food
- cheese

BEST for Sehri
- Alu
- Chawal
- Khajure
- Brown bread
- Kele

mujhe umeed hai k in tips se apko zarur faida hoga agar kisi k paas mazeed koi tips hain to braye mehrbani share kare.

koi ghalti hogayi to gustakhi maaf, correction ki bhi ijazat hai =)

keep ur ramzan healthy =)
Wasalam
love conquers all



**********************************************************************

Lala tul Qadar Ki Azeem Raatein

sabse pehle to mein tahe sil se mazrat chahti hun k yeh post bohut late ai. jo log ittekaf baith chuke un logon k liye  aur jo is sal ittekaf nahi baithe un liye k liye bhi dher sari duan meri taraf se. har ramzan ka besabri se intezar rehta aur lailatul qadar ka bhi. yeh akhir 10 din sirf khuda ki ibadat k liye hote. kuch log bohut khush naseeb hote aur laila tul qadar nazar ajati hai. wese to laila tul qadar sare ramzan mein kisi waqt bhi dikhai de sakti hai lekin akhiri 10 dino mein dekhne k zyada moka hota hai.
yeh choti si post zyada lamba nahi karungi bas itna kahingi k is post k niche lazman(agar apka dil kare to) ek dua zarur share kijiye, take parhe wale k mun se ameen nikle.

apna ek chota sa itekaaf baithne ka tajurba mein aap sab k sath share karna chahti hun. aaj se 2 saal pehle mein bhi itekaaf baithi th. jo log kabhi nahi baithe un k liye mein khas tor p bata rahi hun. ap 24 hrs sirf Allah ki ibadat karte hain kisi se baat nahi karte QURAN aur NAMAZ parte hain aur apka focus sirf aur sirf ALLAH ki taraf hota aur aap yakeen jane agar aap QURAN tajurme k sath parhe to ek ek ayat parte hue apko esa lagta hai k

ALLAH ne jo kuch bhi kaha sirf mujhe hi kaha jahan Allah tala ek chote se gunnah ki saza batata hai wahan woh bar bar yeh bhi kehta hai k mein baar baar reham karne wala hun.

Ittekaf se uthne k baad mujhe itna achamehsoos hua k mein us chez ko lafzo mein bayan nahi karsakti. esa laga k koi pahar tha jo mere gandho se utar gaya aur phir eid ki namaz parne ek khas hi maza aya. isliye jo log ittekaf nahi baithe woh soche aur agle saal ittekaf par baithne ka naik irada kare, insha ALLAH, Allah apko zarur moka dega =)

mein love conquers all aaj ki rat apne ma baap k liye apne liye aur apni ane wali zindagi k liye khuda se dher sari khushya mangti hun. Ae Allah!!! Ae mere rabb mujhe har burai se aur har burai ko mujhse door farma aur mujhe harwaqt teri ibadat karne ki tofeeq ata farma. Ae mere rabb!! mere in rozo ko qabool farma. ae mere rab!! jo is saal ittekaf baithe hain un ki duaon ko qubool farma aur un sab ki mushkilat door farna. AMEEN ALLAH HUMMA AMEEN

regards
love conquers all