Insaan jab is dunya mein ata hai... har baar ishi sentence se mein topic
shuru karti hun lekin aaj is sentence ko yahi adhura chorti hun, bhala
hoga mera aap sab par =p.
jab hum chote hote the to humare ghar
wale hume kehte hain k yeh fla fla par gaya/gayi hai dadi dada nana nani
ma baap par gaya/gayi hai lekin jab hum bare hote phir bhi yeh alfaz
humare sath lage rehte hain. hum sochte hain acha? wakai? kabhi hum
bohut lutf andoz hote hain to kabhi hum is cheez se chirh jate hain.
hume jab koi famiy min acha nahi lagta to hume yeh bat buri lagti hai k q
humein fla fla k sath compare kiya jata hai??
kuch logon ki adat
hoti hai bat bat p dost bana lena aur kuch logon ki adat hoti hai k woh
bas ginne chune dost apni zindagi mein rakhte hain aur kuch log dunya
mein ane k bawajood is khubsoorti se mehroom reh jate hain. kya sochte
honge woh log? kese kat'te honge woh apni tanhai? kis trah ki dosti
nibhate honge woh apni tanhai se?
dunya mein kuch ese log bhi hain jo
akela reh to jate hain.kabhi akela rehna pasand karte hain to kabhi
apni kisamt ko koste hain hum akele q hain? ji haan bilkul hum akele q
hai?
kya kabhi kisi ne yeh socha hai k ...
kash mere jesa bhi
ho? kya mein hi is dunya mein wahid ek esa peice hun jo tahnah hai? koi
to hoga mere jesa koi to hoga mere jesa tanha kahi to hoga mere jesa
koi? ...
yeh swal tanha logon k zehn mein aksar ate hain
lekin inka jwab koi nahi de pata. ese logon ki talash tab tak rehti hain
jab tak unki saans chalti hai. kisamt ho to talash jald khatam ho jati
hai badkisamt ho to yeh talash marte dum tak nahi khatam hoti.. marne k
baad hum sab k sath kya hoga, yeh to WOHI janta hai. aaj meine yeh baat
bohut mukhtasir ki hai lekin agar gaur kiya jaye yeh baat itni mukhtasir
bhi nahi hai q k yeh humari khushya ka swal hais akoon ka swall hai
jiska jwab...
kya aap k paas in swalo ka jwab hai?
hai.. to djiye =)
fesla ap k hath mein hai
regards
love conquers all
Keine Kommentare:
Kommentar veröffentlichen