Aaj mein ek bohut nazuk topic par bat karna
chahti hun. ramzan ka mahina aur duaon ke khazane khuda ne khole hue
hain. wese to humesha khule rehte hain lekin yeh mahina hi kuch esa hai k
hum khud ko bhula kar sirf khuda k hojate aur us se har woh cheez
mangte jo shayed humein baki 11 mahine mangne ki fursat nahi milti...
baat
kuch istrah ki hai k jab ek larka aur ek larki ka rishta pakka hota hai
to sab log shadiyon ki tayari mein magan rehte hain. pehle to sab log
to dono ki achi kisamtein ki duaen dete hain. phir ata hai ek esa
zindagi ek esa mor jab log bache k bare mein puchte hain. Abhi valima
hazam kiye jumma jumma ath din bhi nahi hua hota log swal karna shuru
kardete hain nuskhe dene shuru kardete hain. Agar baat 1-3 mahine tak ho
jaye to logon ki soch badal jati hai agar 1 saal hojaye to log ajeeb
kisam batein karte hain... larke mein nuksa hogaaa haye bicharii larki, larki mein nuks hoga larka dusri shadi karle...
ajeeb kisam ka mind set humare muashre ka. Kuch logon ko fikar hoti hai
bhlai k liye nuskhe bhi dete jo kamyab bhi ho jate hain lekin kuch log
to itne besharam hote k samne larka larki se thik se salam liya bhi nahi
to trah trah k swal aur mansube ban'e shuru hojate hain...
khair
yeh upar wala hissa thora sa jazbati ho gaya. Gustakhi maaf. Asal baat
to olad ki hai. Yeh woh nemat aur khuda ka tohfa hai jo dunya k har
dusre shakhs ko naseeb zarur hoti hai. Dusri isliye keh rahi hun q k har
kisi ko olad nahi hoti.
Yeh baat parh k shayed ap k ronte khare
hojaye lekin is dunya mein ese bohut se log hai jo bina olad niina
sahare k sapurde khak ho jate hain. Baaz dafa to esa hota hai k behn ya
bhai ka koi bacha pal liya jata hai god leliya jata hai lekin woh bacha
jab bara hota hai to apni sage ma baap ka ho hi jata hai. Agar koi aur
bacha god leliya jaye to woh bhi apni sage ma bap ki talash mein zindagi
guzar deta hai. Beolad logon ko kya milta hai yeh sab kuch kark k? Ek
bache ki khwahish karna us khwahish ka pura hona ek yateem bache ki
khidmat karna kya gunnah hai? Kahi kuch ese log bhi hote hain jo bar bar
is baa ka ehsas dilate hain k bacha yeh khoon to unka hai hi nahi...
kitni takleef de baat hai.
Hum log apne khud ko musalman sabat
karne par tule hote hain, RASOOL SAW se behad mohobbat bhi karte hain
lekin kya kisi ko yeh yaad hai k unhone ne bhi ek bache ko pala tha,
Hazrat Zaid RA kisi ko yaad hai? Un k sage baap unhe dhunte dhunte un
tak pohonch gaye the lekin phir bhi unhone ne un k sath jane se inkar
kardiya aur unhone apni zari zindagi humare pyar nabi MUHAMMAD saw k
sath guzardi... woh khoon to kisi aur ka tha lekin q k humare pyare Aqa
NABI E KAREEM SAW ne ek misal jo kayem karni thi
to bohut se
beolad log is misaal ko apni zindagi ka hissa banate to hain lekin kuch
jahil log dil khrab karne par tule hote hain.
Orat... jisko khuda
ne dunya ki sabsi bari takat se nawaza hai, 9 mahine se le kar
deleivery tak ma aur bache k beech mein ek rishta qaym hojata hai k us
rishte ko bayan karna k liye koi alfaz nahi milte. Lekin jis orat ki
olad na ho sake ya jo mard is khushi se mehroom reh jaye unki takleef ko
samajhni ki bjaye log ajeeb ajeeb baatein karte hain. Aur baaz dafa esa
hota hai k baatein karne wali ki oladen is qadar badikhlaq hoti hai k
unko dekh beolad log yahi kehte hain acha hai humari koi olad nahi.
Lekin
dil mein kahi na kahi woh khwahish ek aag ki trah barati jati hai,.
Lekin insaan bebas hai aur yeh q k ALLAH ki den hai isliye uski raza
mein razi rehna parta hai. Koi majburi nahi hoti bas ALLAH ki is mein
bhali hoti hai.
Jo log ulti seedhe baatein karte jin ka ghar ka
angan un nemto se bhare hote woh yeh baat najane q nahi samajhte. LEKIN
kuch ese log bhi hai jo dil mein humdardi aur labon par us couple k liye
dua rakhte hain aur khuda ese logon ki jald sunta hai. Kehte hain k
agar khud ki olad na ho to dusre bacho ko jeen jaan se pyar karo kya
pata ALLAH ko apki yeh adat pasand a jaye aur ALLAH aap par apna fazal
karde.
Meri behno aur bhayyao, jin k ghar bache hai aur jin k
ghar nahi hain. Mein yeh baatein kisi ka dil dukhane k liye nahi kar
rahi. Bas US KHUDA PAR BHAROSA RAKHE aur mayuus na ho. Aaj meri aap
sabse ek guzarish k yeh mazmoon parhne k baad agar aap kisi ese shakhs k
liye couple k liye dua kare jise olad ki khwahish ho, apni zindagi k do
mint nikal kar us k liye dua kare. Ramzan hai mohobbat aur dua lene
dene ka naam hai...
agar koi baat buri ya ghalt kikhi ho to gustakhi maaf. =)
aaj
is nacheez ko nahi balke un logon ko duaon mein yaad rakhyiega, jo is
khushi k haqdar hai, kya pata apki do mint ki dua unki zindagi badal de
aur
ek aur darkhast hai meri (agar apka dil kare to.. ) is mazmoon ko zarur
share kijiyega, shayyed kisi ki zinsagi badal jaye aur share karne wale
ko dua bhi miljaye =)
fesla ap k hath mein hai =)
sorry, aaj baat phir lambi hogayi =)
ramazan mubarak =)
Keine Kommentare:
Kommentar veröffentlichen