Mittwoch, 20. Juli 2016

Tanhai - Poetry Collection

ansoon, aahen, tanhai, wirani aur ghame musalsal
ik zara sa ishq hua tha kya kya virasat mein de diya

ane lagta hai jab kisi ki rafaqat mein sakoon
phir yun hota hai k woh shakhs bichar jata hai 

mujhe kisi ke chor jane ka koi dukh nahi 
bas koi esa tha jis se yeh ummed na thi

baithe ho na tanha hujuume khalaq mein
kahan tha na mohobbat ki saza nirali hoti hai 


andhera andehra sa chane laga
mere paas se jab woh jane laga


 najane kyoun yeh raat udaas kardeti hai har roz
mehsoos yun hota hai k koi bichar gaya ho dheere dheere

har koi yaar nahi honda bhulleya
kadi kalleya bae k soch se sahi



tanha zindagi ka bhi apna maza hai 
na kisi ke ane ki khushi, na kisi jane ki khushi


zara si baat par tanha chor jate hai 
mohobbat kar ke log sambhale q nahi jate?


khamosh sa shehr aur guftagu ki arzoo
hum kis se kare baat koi bolta hi nahi


humare bghair abad hai unki mehfilen
hum nadanan samajhte the k ronak hum se hain

tanhai kat hi jayegi itne bhi hum kamzoor nahi
dohrakar tumhari baaton ko kabhi hans lenge kabhi ro lenge


apne sath hun na tere paas hun
bas yuhni kai dino se udaas hun

 



Keine Kommentare:

Kommentar veröffentlichen